- Aik saat insaaf (barson bars) ki ebadat se behtar hai
- Wo Shakhs bhi be deen hai jis main aehad ki pabandi nahi.
- Jo log miana ravvi ikhtiar kartay hain kisi k muhtaj nahi hotay.
Buri majlis se ehtraz karo. - Insaan ki samajh dari yeah hai k wo kafayat shuar ho.
- Ghallay ko rok kar bechnay wala malaun hai.
- Makar dhoka aur khayanat karnay wala dozakh main jaye ga.
- Aurat ki izzat sharif utaba he kartay hain aur es ki ahanat kaminay logon k siwa koi nahi karta.
- Aurton main sab se acchi aurat wo hai jisay os ka shohar dekhay tou khush ho jaye.(Allah ko manany k baad) behtreen danai insano se mohabbat karna hai.
- Buland himmati emaan ki elamat hai.Dolatmand par hasad na karo, dolat ki lazatain faani aur aarzi hain.
- Khuda k nazdeek behtreen dost wo hai jo apnay dost ka khair khawa ho.
- Jo shakhs aib joi karta hai aur logon par awazain lagata hai os keliye badi tabahi hai.
- Jo koi Allah par tawakkal rakhay ga Allah os keliye kafi hoga.
Monday, December 6, 2010
Irshadat Nabi Kareem (S.A.W)
Subscribe to:
Posts (Atom)